Adsense

Thursday 7 September 2017

Om Jai Jagadish Hare Lyrics, Shiva Bhajans

Om Jai Jagadish Hare Swami Jaya Jagadish Hare
Bhakta Janon Ke Sankat  Daasa Janon Ke Sankat
Kshan Me Door Kare Om Jai Jagadish Hare

Jo dhyave phal paave Dhukh vinashe man ka
Swami dhukh vinashe man ka Sukha sampati Ghar aave
Sukha sampati Ghar aave Kashht mite tan ka

Om Jai Jagadish Hare

Mata pita tum mere Sharan padun mai kis ki
Swami sharan padum mai kis ki Tum bina aur na doojaa
Tum bina aur na doojaa Asha karun mai kis ki

Om Jai Jagadish Hare

Tum pooran Paramatma Tum Antaryaami
Swami Tum Antaryaami Para brahma Parameshwara
Para brahma Parameshwara Tum sab ke Swami

Om Jai Jagadish Hare

Tum karuna ke saagar Tum palan karta
Swami Tum palan karta Mai sevak tum swaami
Mai sevak tum swaami Kripa karo bhartaa

Om Jai Jagadish Hare

Tum ho ek agochar Sab ke prana pati
Swami sab ke prana pati Kis vidhi miloon dayamaya
Kisi vidhi miloon dayamaya Tum ko mai kumati

Om Jai Jagadish Hare

Deena bandhu dukh hartaa Thakur Tum mere
Swami rakshak  tum mere Apane hast uthao
Apane hast uthao Dwar khada mai tere

Om Jai Jagadish Hare

Vishaya vikar mithao Paap haro deva
Swami paap haro deva Shraddha bhakti badhao
Shraddha bhakti badhao Santan ki seva

Om Jai Jagadish Hare

Tan man dhan sab kuch hai tera
Swami sab kuch hai tera Tera tujh ko arpan
Tera tujh ko arpan Kya laage mera

Om Jai Jagadish Hare

Om Jai Jagadish Hare Swami Jaya Jagadish Hare
Bhakta Janon Ke Sankat Daasa Janon Ke Sankat
Kshan Me Door Kare Om Jai Jagadish Hare

No comments:

Post a Comment